Yeh mitti hai
Yeh mitti hai
Magar isse mitti na kehna
Yeh mitti jaan hai neri
Yhi pehnchan hai meri
Yeh mitti risk hai mera
Yeh mitti ishq hai mera
Yhi nirwan hai mera
Yhi hindustan hai mera
Yeh mitti hai
Magar isse mitti na kehna
Yhin sarfaroshi ki tamanna dil mein jaagi thi
Yhin ashfaq ulla khan ne ek tareekh likhi thi
Yhin par sajde kiye humne
Yhin par sar kataye hai
Yhin par goli khayi
Yhin par ghar lutaye hai
Tumhe maloom to hoga salebodar mein hum the
Kabhi topon ki zadd mein the
Kabhi talwar par hum the
Kabhi azaadi ki soorat mein
Kabhi tipu ki surat mein
Sada qurbaniyan dete rhe hai hum har ek roop mein
Yeh mitti hai
Magar maine isse mitti nhi samjha
Magar afsos logon ne mera jazba nhi samjha
Yahan kuch log mujhse poochte hai shehriyat meri
Bahi khaton mein likhi hui hai kya haisiyat meri
Chalo main to batadoonga mujhe itna to batlao
Chalo main to batadoonga mujhe itna to batlao
Tumhari kya hakikat hai zara mujhko to samjhao
Aree oo poochne walon
Tumhari zehniyat kya hai
Tumhari haisiyat kya hai
Tumhari shehriyat kya hai
Batao to mujhko kahan ke ho kidhar ke ho
Saboot apna to do pehle ki tum hindustan ke ho
Batao to mujhko kahan ke ho kidhar ke ho
Saboot apna to do pehle ki tum hindustan ke ho
Tassub ne tumhe aakhir ko andha kardiya saheb
Watan ke bhai chare ko bhi ganda kardiya saheb
Magar aab saaf sunlijiye na taqseem honge hum
Na apna dharam chhodenge
Na aab tarmeem honge
Har ek hindu musalman sikh isai ka bharat hai
Sabhi hum bhai bhai hai
Har ek bhai ka bharat hai
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें